AlifKhwab Nama

Khwab mein Angothi Dekhnay Ki Tabeer

Angashtari

Khwab mein Angothi Dekhnay Ki Tabeer

angasthari yani angothi dekhna hazrat daniyal alaihissalam ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein angothi ki sifat aur naqash dekhe to daleel hai keh us ko us kay aaqa se khair aur naiki pohanchegi, aur agar dekhe keh us ko kisi ne angothi mohar karne k liye di hai to daleel hai keh jo kuch us kay laiq hai, bohat paega yani angothi ki qadro qeemat kay mutabiq agar badshahi kay laiq hai to badshah hoga na maal o dolat paega aur agar dekhe keh masjid mein ya namaz mein ya jahad mein kisi nay us ko angothi di hai to daleel hai keh wo shakhs abid aur zahid hoga agar soadagar hai to tajarat mein nafa paega.

aur agar dekhe keh us ko badshah ne angothi di hai to daleel hai keh us ko mulk mein se badshah kuch dega ya badshah kay mulk mein us ko ya us kay khawaishon ko burai pohanchegi.

Hazrat ibne sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar khawab mein dekhe keh us ki angothi zaya hoi ya koi chease chura kar le gia hai to daleel hai keh us kay kamon mein aafat ya dushwari zahir hogi, aur agar dekhe keh angothi tooti aur us ka nagina raha to daleel hai keh us ki bazurgi behtar hogi aur us ki aabro aur waqar qaim rahega aur agar dekhe keh us ni apni angothi kisi ko bakhshi hai to daleel hai keh apni mulk mein se jo kuch maal wo doolat rakhta hai us mein se kuch kisi ko bakhshega aur agar dekhe keh apni angothi farokhat ki aur us ki qeemat li hai to daleel hai keh jo kuch us kay pass hai farokhat karega aur agar qeemat nahin li hai to kuch hissa jaidad ka farokhat karega.

hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar khawab mein dekha hai keh us ki angothi ki sakhat na pasandidah hai to daleel hai keh us kay maal ko kuch hoga aur badshah us par gussa karega aur agar chandi ki angothi dekhe to daleel hai keh us ka maal halaal ka hai, aur agar sonay ki angothi dekhe to daleel hai keh us ka maal makrooh aur haraam hai, aur agar aahan ki angothi dekhe to jo kuch us kay pass hai thora aur zaleel hai, aur agar angothi saat dhaat ya spaid qali ki dekhi to maal kay thora honay ki daleel hai, aur agar khawab mein dekhe keh us ki angothi deo le gia hai to us khawab ki tabeer sab se buri hai.

hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein dekhe keh us ki angothi lohay ki hai to daleel hai keh quwat aur tawanai paega, aur agar tanbay ya raang ki hai to daleel hai keh bay asal logon se faida uthaega, aur agar baloor ki angothi dekhe to daleel hai keh aam logon se us ko kuch milega aur agar chandi ki angothi dekhe to us ko kahin se kuch milega. aur agar dekhe keh us nay apni angothi kisi kay pass amanat rakhi hai ya bakhsh di hai aur us nay bhi us ko angothi wapis di hai to daleel hai keh nikah kay liye aurat chahega aur qabool na karega aur na hi us ko dengy, aur agar dekhe keh us nay apni angothi tori hai to daleel hai keh us kay ayaal mein judai paregi.

aur agar dekhe keh us ki angothi kay do naginay hain jo us ko kisi ne di hai aur dono aik dusray kay mutabiq hain to amar ki daleel hai keh sahib khawab ghulam zadah hai.

aur agar dekhe keh us ki angothi kay do naginay hain jo us ko kisi ne di hai aur donon aik dusray kay mutabiq hain to amar ki daleel hai keh sahib khawab ghulam zadah hai.

aur agar dekhe keh un donon rangon mein se aik gir gia hai to us amar ki daleel hai keh do gunahon mein se aik ki toba ki hai.

aur agar dekhe keh likhe hoye khat par apni angothi se mohar lagai hai to us ki daleel hai keh koi poshida chease us ko milegi, aur agar dekhe keh khulay khat par muhar lagai hai to daleel hai keh koi zahri chease us ko milegi.

hazrat jafar sadiq razi Allah hu anha ne farmaya hai keh khawab mein chandi ki angothi ko dekhna chaar waja par hai, Awwal: Saltanat, Doom: Aurat, Soom: Farzand, Chaharam: Maal o dolat, aur sonay ki angashtari naik hai aur aurat dekhe keh angothi nag samait zaya ho gai hai, to us amar ki daleel hai keh us ka martaba aur izzat giregi ya us ka bacha marega ya maal zaya hoga aur agar hakim hai to mazool hoga, agar aurat aisa khawab dekhe to us ka khawand ya farzand marega.

Related Post:

One Comment

  1. Assalam o Alaikum. Mai ne khuwab me apny ghr mai 2 shutar murgh dekhi ek khari wi thi dusri wali giri thi dono jora hain yehe lg rha tha. Or bki murgiyan bhe dekhni. Hmre ghr me murgiyan n 1 duck ha to wohi dekhi khuwab me bhe but shutar murgh ni h to wo bhe dekhi uss jaagh jidhar murgiyan ha. Or tamam murgiyan khamosh ha khiwab me mery. 1 2 bar bs murgiyoun ne awaz nikali hogi. Is khuwab ki tabeer bata dain shukria.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button