KaafKhwab Nama
“Khwab mein Kaaba Sharif Dekhna” (خواب میں کعبہ شریف دیکھنے کی تعبیر) holds profound significance in dream interpretation in Islam. Dreaming of the Kaaba Sharif often symbolizes spiritual connection, piety, and divine guidance. It may signify a deep longing for spiritual fulfillment, a desire for pilgrimage, or a reminder of one’s faith and devotion to Allah. Seeing the Kaaba Sharif in a dream may also represent blessings, protection, and the fulfillment of prayers. Overall, “Khwab mein Kaaba Sharif Dekhna” is considered a highly auspicious dream, urging individuals to strengthen their connection with Allah and seek guidance on their spiritual journey.
AOA
meri wife ko do dafa khawab aye hai k wo umrah karne saudia gae Hai. …Magar usay Khana Kaaba nazar nahe Ata. ..
Wo kadi pares han hai kindly koi Taber batain.
JaZak Allah
Maine dekha k ma acanak se umrah p jarahi hon or kisi ko Bata bhi nahi saki sahi tarah se or ma wahan pochanchti hon to apni dost se kehti hon k mujhe Haram m namaz parhni hai sabse barh k bat ye hai k mujhe khana Kahan ki jagah p khane Kaba nahi dikha Raha Matlab pora hateem bana hua hai shayad bas khane Kaba nahi dikh Raha or m ye samjh rahi hon k ajkal.corona ki wajah se shayad hata Diya hai k koi chipke na or bemari na phele phir m washroom jati hon sab shadi Wala tayar Huey dikhte Hain muje wahan ,washroom jakar proper sahi khudko Pak karke wapis ati hon to din se raat huchuki huti h apni dost k sath Saaf m khari hon or namaz koi Urdu bolne wale maulvi parha rahe Hain phir Ham naMaz parhte Hain Jamat k sath properly nahi kuch hiljul hai namaz m,and at the end I woke up
ASSALLAMOALYKOM mene pechle Raat khowab me MAKKAH deka or 2rakat nawafil Ada Kiya or 2 rakat nawafil ek Room jesi jaga ti waha kaba Shareef mere peche ta or me Room me nawafil Ada karraha ta mere pas asla(Ak47) B ta Jo mene niche farash pe raka ta
Asalam o alikum
Mai nay khowa mai daikha pahlay k khana kaba bohat oncha satton pr hai . Badlon mai nazar a rha hai or shayad hawa ki wajah say jhool raha hai or us ko nuqsaan honay ka khatra hai.
Phir daikhta hon koi hamay taqeed kar rha hai. Hum log khana kaba ko bachana chahtay hain. Mujhy iak jagah khodnay ka kaha jata hai jahan shayad khana kaba rakha jay ga. Mai jagah square mai khodta hon. Itni dair mai khana kaba mayra samnay hota hai. Khana kaba ka size chota hota hai. Mai bohat baychain hon. Sab baychain hain. Hum khana kaba ko kisi anjani prayshani (barish ya zalzala ya kush or pata nahi) say save karna chahtay hain. Phir daikhta hon mai khana kaba ki taraf jhok jata hon. Rota hon. Allah say doa karta hon. Zahan mai ata hai k shayad Allah pak nay mujhy khana kaba k zayarat karwai hai iss tarah. Bohat rota hon. Sajidah karta hon jasay hum sab khana kaba ja kr namaz parhtay howay sajidah kartay hain. Us k baad daikha kisi nay hamara poster lagaya hai jaysay hum nay kush ghalat kia hai. Jiss mai mayray samaiet kush or logon ki picture b hai jiss mai say iak ko mai janta hon.
Khowab ka time shayad subah 8 bajay k baad ka hai.
Allah pak hum sab ki magfirat farmayn.
Assalamualaikum.
Last night i saw a dream, that i step out from bus and the other side of road i can easily see Khana Kaba, Masjid e Nabvi and Harmal Sharif (israel).
Could you please give me the tafseer of this dream.
Jazakallah
Muntazir
Shamshad
Aslam o alaikum,janab meiny khuab mei dekha k mei haram pak mei hn or mei Khana kabe k darwaze ko hath lga kr Dua Mang rhi hn or phr mei hudko bahir dekhti hn or mery sth Pakistani tu ni pr do behan Bhai hoty hain or wo gali Bazar numa hoti hai wahan tent lgy hoty hain wo dono Bhai behan aps mei batien kr rhy hoty hain k shukar hai hm hajj py aye tu mery zehan mei ek Dua ati hai k muje ek shyed thi unu ne Dua di thi k ab tm hajj krogi tu shyd unki Dua qabul ho gai hai k mei hajj py ai hn, phr rasty mei Jo tant lgy huye thy Meri mind mei Aya k kash mei yaha haram k pas hi tant bana ln nezdeek Jo hai,phr un dono behan Bhai ki batien b sun rhi thi k wo dono Muslim maa or baap gair Muslim tha wo dono ek grh mei rehty thy pr unko koi ilam ni tha hajj ka Allah ka pr wo yaha kaisy agaye meiny ye sun kr Allah ka shukar ada kia k ye musalman ho gye hain or Allah tera shukar hai tune inkk ye toufeeq di….phr Meri ankh Khul gai…
Mai ne khud ko khana kaaba shareef k bilkul saamnay daikha.. usko chooma. Khana kaaba k oper 4 pillars daikhay or ye b socha k ye toh pehlay kabhi nai daikhay… phir jab tawaf start honay laga toh mai ne dekha k khana kaaba ki deewarein sheshay ki bani hui hain or inside sab kuch nazar aa ra hai. Mai video bananay lagi. Mai ne daikha k khana kaaba k under 3, ya 4 stairs hain. Vahan aik bara sofa hai or us per meray father in law so rahay hain. Unko daikh kr mei bht heeran hui. Unhon ne mujhe ishara kia k mai unki video na banaon or vo phir so gay… jab mai ne video band kr di toh mai ne unko aik khatoon ki goud mei sir rakh k laitay daikha… phir meri ankh khul gaye… ( meray father in law hayat hain. Meray sath he rehtay hain. Or hum aik doosray ko koi khaas pasand nai krtay)
Assalam o Alaikum,
Main na khawab main dekha main asman main hon or wahan khanakabaa dekha sitaron k darmian ar r bht pyara nazar a rha ha itna khubsorat nazara ha k wapas annay ka dil ni kr rha mera…………………Kindly bta dain iski tabeer
Aslam o alaikum,meiny khuab mei dekha k mei hateem k Ander Khana kaba k bilkul pas kharti hn meiny khilaf e qaba ko chuma phr hajre aswad k pas gai tu itny gor sy dekha us mei muje محمد ص ع saaf likha Nazar Aya or meiny do bar usy bosa dia or muje feel b hua bossa Dena or phr dua b mangi ……
Me khuwab dekha Khana Kaaba apni jagi p nahe tha. …..
Khuwab din ko dekha
Shayad time 4pm tha